Cricket mein kismat kab palat jaye, koi nahi jaanta. Ek waqt tha jab Tom Banton sirf ek franchise specialist maane jaate the, lekin aaj wo apne desh ki kamaan sambhaalne ke liye taiyaar hain. England vs Australia series ke aakhri T20I mein Banton captaincy karte dikhenge, aur is khabar ne khud Banton ko bhi thoda emotional kar diya hai.
To Hua esa hai ki:
Darasal, England cricket team mein captaincy ka sangit kursi (musical chairs) wala game chal raha hai. Pehle Harry Brook ko Sydney Test tour ke liye rawaana hona pada, jiske baad Will Jacks ko captaincy milni thi. Lekin kismat ko kuch aur hi manzoor tha. Will Jacks ka haath fracture ho gaya aur wo series se bahar ho gaye. Tab Coach Brendon McCullum ne ek aisa faisla liya jisne sabko hairan kar diya.
Jab poori team airport par thi, tab Baz (McCullum) ne Banton ko ek side le jaakar kaha ki tum Canberra mein team ko lead karoge. Tom Banton ne bataya ki wo us waqt speechless ho gaye the. Unhone kaha ki apne desh ki captaincy karna kisi bhi format mein ek bada Privilege hai. Banton ke liye ye ek emotional moment tha kyunki pichle do saalon mein hi unhone England ki T20 side mein apni jagah pakki ki hai.
Analysis & Numbers
- Tom Banton banenge England ke 14th T20I captain: Ek aisi list jisme diggajon ke naam shumaar hain.
- Banton ka Gabba Connection: 2019-20 mein Brisbane Heat ke liye khelte hue Banton ne isi maidaan par apne franchise career ki shuruat ki thi.
- New Role: Top 3 mein batting karne wale Banton ab number 4 par settle ho rahe hain, aur Brendon McCullum ka backing unke liye Gamechanger sabit ho raha hai.
- Gabba ka Record: Halaki Banton ne yahan struggle kiya hai, 4 innings mein sirf 65 runs banaye hain, lekin unka strike rate 138.29 ka raha hai jo dikhata hai ki unke paas intent ki kami nahi hai.
The Guru Gyan Verdict:
Banton ki captaincy unke career ka sabse bada turning point ho sakti hai. England ne dikhaya hai ki unke paas leadership depth hai. Wahi dusri taraf hamare padosi Pakistan ko dekhiye, jahan captaincy aise badli jaati hai jaise log kapde badalte hain, par performance phir bhi "Under 19" level ki hi rehti hai. PCB ko England se seekhna chahiye ki kaise dubaav mein bhi naye leaders ko backup diya jata hai. Banton emotional hain, lekin hume pata hai ki unka Unfiltered aggression Australia ke liye khatre ki ghanti hai.
Stay tuned to The Guru Gyan for more unfiltered cricket masala!