Australian cricket ka sabse kala sach ek baar phir duniya ke samne hai. Cricket world mein jab bhi honesty aur ethics ki baat hoti hai, Australia hamesha upar rehne ki koshish karta hai, lekin Sandpapergate ne unka asli chehra dikha diya tha. Ab Usman Khawaja ne apni autobiography Sabr ke release se pehle wo dhamaka kiya hai jo Cricket Australia ke corridors mein halchal macha dega. Khawaja ne khul kar kaha hai ki Steven Smith, David Warner aur Cameron Bancroft ko bali ka bakra banaya gaya, jabki galti puri team ki thi.
The Guru Story
Cricket fans ko yaad hoga 2018 ka wo Cape Town Test jahan ball tampering ka kissa samne aaya tha. Us waqt sirf teeno players par gaj giri thi, lekin Usman Khawaja ka kehna hai ki ye poori team ki collective responsibility honi chahiye thi. Khawaja ne bataya ki unhone apne bachpan ke dost David Warner se ek wada kiya tha ki wo ek din duniya ko sach batayenge. Khawaja ke mutabiq, wo do baar pehle bhi media ke samne aana chahte the lekin unhe rok diya gaya.
Pehli baar jab Khawaja sach bolne wale the, tab Steven Smith ne unhe roka. Smith ne ek leader ki tarah sara blame apne sar lena behtar samjha. Dusri baar 2021 mein jab Cameron Bancroft ne ishara kiya tha ki bowlers ko sab pata tha, tab bowlers ne ek joint statement jari karke apna palla jhad liya tha. Khawaja ne kaha ki us waqt wo kaafi gusse mein the, khaas kar David Warner ki halat dekh kar, lekin team ke environment ko dekhte hue wo chup rahe.
Khawaja ne Instagram par do videos post karke saaf kiya hai ki wo kisi ko bus ke neeche nahi fenk rahe hain, balki justice ki baat kar rahe hain. Unka kehna hai ki jab poori team ko pata tha, toh sirf teen logo ne hi public humiliation aur crowd ki gaaliyan kyun sahi? Khawaja ne ye bhi admit kiya ki jab tak wo team ka hissa the, wo bolne se darte the kyunki unhe chicken kaha jata, lekin ab wo team se bahar hain aur apne liye bol sakte hain.
Analysis & Numbers
- Steven Smith and David Warner served a 12-month ban each for the 2018 scandal.
- Cameron Bancroft was handed a 9-month suspension from International and Domestic cricket.
- Khawaja reveals that he attempted to go public with the truth twice before but was silenced by team hierarchy and situations.
- The 2021 bowlers' joint statement involved Pat Cummins, Josh Hazlewood, Mitchell Starc, and Nathan Lyon.
The Guru Gyan Verdict:
Australia ki Elite Honesty hamesha se ek joke rahi hai. Jab jeet milti hai toh ye log ethics ki baatein karte hain, lekin jab chori pakdi jati hai toh dosti ke naam par parda dalte hain. Usman Khawaja ne jo sach bola hai wo dikhata hai ki Australian dressing room mein kitna pressure tha. Agar poori team involved thi, toh sirf teen players ko villian banana galat tha. Ye log Pakistan ki team ki tarah toh nahi gire hue hain, lekin inki hypocrisy bhi next level hai. Khawaja ka ye Unfiltered sach batata hai ki cricket mein koi bhi doodh ka dhula nahi hota.
Stay tuned to The Guru Gyan for more unfiltered cricket masala!